LYRICS
Khud ko main deta hu,
Poore dil se arpan karta hu,
Kumhaar ke haathon mein Bartan saman,
Mujhko bana de tu mere prabhu –(2)
Main thak na jaau Prabhu,
Is zindagi mein kabhi,
Jab tak yeh jaan hai Prabhu,
Sang tere rehna hai –(2)
Anugrah de teri aatma se,
Taaki bana rahu mai sarvada –(2)
Apni jaan di hai tune,
Yeshu main tera hu,
Peeche na hat jau main,
Esa de samarth Prabhu –(2)
Udhar ki ghoshna karne,
Samarth se mujhko tu bharde Prabhu –(2)
Vachnon par sthir rahu main,
Yeshu tere aane tak,
Tujhse lipta rahu main,
Yeshu tu kaafi mujhe –(2)
People also search for :