Jeene ki hai tu hi wajah
Jeena tere liye
Main kya kahoon ke yaar tu
Hai kya mere liye
Zamaane mein kahin
Meri tarah kabhi
Chahega na koi
Tujhko
Jaise maine diya
Waise poori tarah
Dil dega na koi
Tujhko..
Tujhko
Jab se mila..
Tujhko..
Tujhko
Maana jahaan..
Tujhko..
Subha ki saari furtiyaan
Bekhudi har shaam ki
Na hon tere saath mein
To mere kis kaam ki
Uthe jo mera har kadam
Tere sang shuruaat mein
Haath daale haath mein
Fikr kya anjaam ki
Mujh mein zyaada ab tu hi hai
Jitna main hoon wo kyun hi hai
Kuch aisa kar main dhoondoon bhi to
Paaun na khud ko..
Tu hi to aasmaan
Tu hi meri zameen
Maana hai zindagi
Tujhko..
Bin maange har dua
Poori hui meri
Paaya jo humnasheen
Tujhko..
Tujhko
Jab se mila..
Tujhko..
Tujhko
Galtiyaan bhi meri
Main gawaara karoon
Ye khata hi sahi,
Par dobaara karoon
Kya karoon sarphira
Ishq hi hai mera
Izhaar ka yahi tareeka hai mera..
Aankhon ki hai tu roshni
Tu hi to khwaab hai
Main hoon agar sawaal to
Tu hi jawaab hai…
Zamaane mein kahin
Meri tarah kabhi
Chahega na koi
Tujhko
Jaise maine diya
Waise poori tarah
Dil dega na koi
Tujhko..
Tujhko..
Tujhko..