{Chorus} Door kahin in raahon mein, ho jaao tum jo akele, Yaad rakhna koi har pal saath chalta hai Door kahin andhiyaaron mein, jab zindagi kho jaaye, Yaad rakhna sooli pe koi deep jalta hai
Door kahin in raahon mein..
{Verse 1} Kitne aise pal hain tumhare, hote ho jab besahara, Apnon hi se chot khaake, dhoondhte ho kinara ..x2
{Chorus} Kal kahin is haal mein jab zindagi tadpaaye Yaad rakhna uska ishaara thaam leta hai Door kahin in raahon mein, ho jaao tum jo akele, Yaad rakhna koi har pal saath chalta hai
Door kahin in raahon mein ..
{Verse 2} Kal kahin jo chot deke chhod ke tumko jaate, Dhoondhte unhein aawaaz de ke thak ke haar jaate ..x2
{Chorus} Kal kahin is haal mein jab zindagi kho jaaye, Yaad rakhna gham ko tumhare Yeshu sehta hai. Door kahin in raahon mein, ho jaao tum jo akele, Yaad rakhna koi har pal saath chalta hai