Raakh Ke Badle Sundarta Chords and Lyrics | Shelley Reddy

CHORDS

Hai Khudawand, Tu kitna bhala hai,
Teri bhalaiyan anginat hain.
Maine chakha hai aur jaana bhi hai,
Tu kitna, kitna achha hai.

{Verse 1}
Raakh ke badle mein
Sundarta mujhe diya,
Dhool se uthakar
Chattan pe khada kiya ..x2

{Chorus}
Jo Tune kiya, koi na kar saka,
Jo Tune diya, koi na de saka ..x2

Karunanidhi Tu hai,
Daya ka saagar ..x2
Kal, aaj, hamesha,
Yeshu hi mera rehbar ..x2

Jo Tune kiya, koi na kar saka,
Jo Tune diya, koi na de saka ..x2

{Verse 2}
Sharmindagi ke badle
Mahima mujhko diya,
Bigdi pehchaan mitakar
Naam apna mujhe diya ..x2

{Chorus}
Jo Tune kiya, koi na kar saka,
Jo Tune diya, koi na de saka ..x2

Karunanidhi Tu hai,
Daya ka saagar ..x2
Kal, aaj, hamesha,
Yeshu hi mera rehbar ..x2

Jo Tune kiya, koi na kar saka,
Jo Tune diya, koi na de saka ..x2

Hai Khudawand, Tu kitna bhala hai,
Teri bhalaiyan anginat hain.
Maine chakha hai aur jaana bhi hai,
Tu kitna, kitna achha hai.

People also search for :

Leave a Comment