{Verse 2} Hai kya tadap? Hai yeh kaisi saza? Tu kyun mujhe aaj yaad aa gaya? Bechain din mere, bechain raat hain Kya main karun kuch bata Hai mere paaon hi khud meri bediyaan Mujhse mujhe tu chhuda
{Verse 3} Jo mujh mein hai shakhs woh keh raha Aa ab main doon, karz tera chuka Aankhen hain nam meri, saansein chubhan meri Zakhm hua phir hara Dil ke veerane mein, mere fasaane mein Tu hi to har dam raha