Prabhu Mahaan Chords and Lyrics

CHORDS

Prabhu mahaan vicharun karya tere
Kitne adbhut jo tune banae
Dekhun taare sunun garjan bhayankar
Samarth teri saare bhoomandal par

Prashansa hove Prabhu Yeshu ki
Kitna mahaan kitna mahaan ..x2

Van ke beech mein tarrai madhya vicharun
Madhur sangeet mein chidiyon ka sunun
Pahaad vishaal se jab main neeche dekhun
Jharne bahte lagti sheetal vaayu

Prashansa hove Prabhu Yeshu ki
Kitna mahaan kitna mahaan ..x2

Jab sochta hoon ki pita apna putra
Marne bheja hai varnan se apaar
Ki kroos par usne mere paap sab lekar
Rakt bahaya ki mera ho uddhaar

Prashansa hove Prabhu Yeshu ki
Kitna mahaan kitna mahaan ..x2

Masih aayega, shabd turhi ka hoga
Mujhe lega jahaan aanand mahaan
Main jhukunga sadaadar bhakti deta
Aur gaaunga Prabhu kitna mahaan

Prashansa hove Prabhu Yeshu ki
Kitna mahaan kitna mahaan ..x2

People also search for :

Leave a Comment